eK lamha tha jo gujar gaya
kitna seene se lagaya..pakda, sameta.. per wo chalta hi gaya..
main sochta raha ise kaise roku.. kaise apni mutthi me kar lu..
lekin waqt ka ye chota sa katra.. lamha.. na ruka..
thak har kar jab maine lamhe se poocha.. ki batao bhai .. tumhe kaise roku..to usne kaha..
"main to lamha hu.. main nahi rukta..main jaunga.. aur mere jaise kai hazar lamhe aur ayenge..
mujhe apni yaadon me basa lo..aur mujhe apna bana lo.."